Mai Beti Hun Mujhe Beti Hi Rehne Do












Aaj mujhe ek dil ki baat kehni hai

Mai beti hun koi bojh nahi,
Mai beti hun kisike kiraye ki god nahi,
Mai beti hun paida hone pr ghr ki Lakshmi kehte hain,
Bada hote hi use nipta dene ki baatein krte hain.

Mujhe bada kiya,
Mujhe pdhaya likhaya,
Kya ye sirf isliy ki mujhe nipata sken,
Kya ye sirf isliy ki kisike palle bandh sken.

Mujhe khudka gurur bnne do,
Mujhe khudka abhimaan bnne do,
Ma-Papa mujhe apka maan- samman bnne do.
Mujhe mere paero pr khade hokr khudka kuch krne do.

Haan mai badi hogyi hun,
Lekin kabhi-kabhi na smjhi bhi karti hun,
Han log ye bhi kehte hain ki shaadi kb karenge,
Aur log ye bhi kehnge ki kitne ki karenge.

Log kehte hain aur logo ka kaam hai kehna,
Meri bhi sunlo Ma-Papa ki mujhe kya karna hai,
Mujhe kuch bnna hai kuch apna krna hai,
Is duniya me apne pati nahi apne naam se chalna hai.
Mana maine shaadi boht ahem hai,
Ye bhi mana maine ki shaadi krna zaroori hai,
Pr abhi mai sirf 24 ki hun, abhi mujhe kuch apna krna hai,
Mujhe apne pati nahi, Ma-Papa apne naam se chalna hai.

Mai beti hun mujhe beti rehne do,
Zimmidari smjhkr mujhe niptane ka mat socho,
Aj tk aage badhaya hai aage bhi badhado,
Ek br firse ungli pakadwake khudke liy chalna sikhado.

Mai beti hun mujhe beti hi rehne do,
Kuch apke liy kuch khudke liy krne do,
Mai beti hun mujhe beti hi rehne do,
Zimmedari smjhkr niptane ka mat socho.

-            -Priyanka Bhatnagar

Comments

Post a Comment